Fake job se kaise bachein
Asli company salary deti hai, leti nahi. Neeche ke niyam yaad rakho, aur kuch bhi galat lage to job ke page par "Report karo" dabao.
Sabse zaroori baat: job ke liye kisi ko paise mat do. Registration, training, ID card, uniform, laptop ya security deposit, kisi bhi naam par.
Ye dikhe to ruk jao
- Interview se pehle ya joining ke naam par paise maange ja rahe hain.
- Kaam bahut aasaan aur salary bahut zyada batayi ja rahi hai.
- OTP, ATM PIN, bank password ya UPI PIN maanga ja raha hai. Ye kisi ko nahi batana.
- Sirf WhatsApp ya Telegram par baat ho rahi hai, office ka pata nahi bataya ja raha.
- Aadhaar, PAN ya bank ki copy interview se pehle hi maangi ja rahi hai.
- Kaha ja raha hai ki "abhi turant haan bolo, warna seat chali jayegi".
Interview par jaane se pehle
- Company ka naam aur pata Google par dekh lo.
- Ghar me kisi ko bata kar jao ki kahan ja rahe ho.
- Interview office me do, kisi hotel ke kamre ya sunsaan jagah par nahi.
- Salary, timing aur chhutti joining se pehle likh kar maang lo.
Hum kya karte hain
- Nayi company ki job live hone se pehle dekhi jati hai.
- Jaanchi hui company par "Verified" ka nishaan lagta hai.
- Shikayat aane par job hata di jati hai aur account band kar diya jata hai.
Verified ka nishaan hamari jaanch batata hai, guarantee nahi. Apni taraf se bhi upar ke niyam zaroor dekho.
Thagi ho gayi ho to
Turant cyber crime helpline 1930 par call karo ya cybercrime.gov.in par shikayat likho. Jitni jaldi shikayat, paisa wapas milne ki utni zyada ummeed.